Chashma
Chalo aaj mud ke kal ko dekhte hai
Par pehle zara ye gulabi chashma uttar lo
Warna tum phir yahi kahoge
Yaar kal bahut haseen tha
Tum bhool gaye wo roz ki bhagdag
Wo alarm ka zor se bajna, wo jhatke se uth kar nahaane
bhaagna
Naashta haath mein lekar, computer aur phone ko balance
karte huey train pakadna
Dhakkam dhukki ke beech phone answer karna aur phir poora
din chakkarghinni ki tarah ghoomna
Raat ko thak kar chid chide mood mein rehna, tapaak se mujhe
shut up keh dena
Tum bhool gaye ye sab baatein.
Chalo aaj ab is aaj
ko dekhte hai
Par pehle zara ye saleti chashma uttar lo
Warna tum phir yehi kahoge
Yaar aaj bahut depressing hai
Tum nahi dekhoge ki aaj kitna shaant hai
Ab alarm nahi bajta, araam se angrai lekar bistar par pade khidki ke bahar
baithe
totey ki jode ki
chechahat sunte hai
halanki work from home hai aur ghanto computer par beet
jaate hai
lekin na wo bhaag daud hai, na wo time ka stress. na wo
shorsharaba
Tum bhool jaate ho ye sab baatein
Chalo aaj aane waale kal ko dekhte hai
Par pehle zara ye kaala chashma uttar lo
Warna tum phir yahi kahoge
Yaar aage bahut andhera hai
Tum nahi dekh paaoge roshni ki wo kiran
Jo door jhilmila rahi hai aur keh rahi hai ki waqt guzar
hee jayega
Raasta mushkil zaroor hai. lekin raasta he hai, kahin toh
pahuchayega
Toh bas ummeed ka daaman na chodo aur dheere hee sahi par
chaltey reho
Kal bas yahi yaad rahega ki kissne kitna saath nibhaya aur
kis tarah nibhaya
Tum bas yaad rakhna ye hee baatein.
I am taking my blog to the next level with Blogchatter’s My Friend Alexa Campaign.
2 comments:
So true Arti. Nicely penned.
Thank you Sonia..
Post a Comment