Wednesday, October 28, 2020

 

Chashma

 

Chalo aaj mud ke kal ko dekhte hai

Par pehle zara ye gulabi chashma uttar lo

Warna tum phir yahi kahoge

Yaar kal bahut haseen tha

Tum bhool gaye wo roz ki bhagdag

Wo alarm ka zor se bajna, wo jhatke se uth kar nahaane bhaagna

Naashta haath mein lekar, computer aur phone ko balance karte huey train pakadna

Dhakkam dhukki ke beech phone answer karna aur phir poora din chakkarghinni ki tarah ghoomna

Raat ko thak kar chid chide mood mein rehna, tapaak se mujhe shut up keh dena

Tum bhool gaye ye sab baatein.

 

 Chalo aaj ab is aaj ko dekhte hai

Par pehle zara ye saleti chashma uttar lo

Warna tum phir yehi kahoge

Yaar aaj bahut depressing hai

Tum nahi dekhoge ki aaj kitna shaant hai

Ab alarm nahi bajta, araam se  angrai lekar bistar par pade khidki ke bahar baithe

 totey ki jode ki chechahat sunte hai

halanki work from home hai aur ghanto computer par beet jaate hai

lekin na wo bhaag daud hai, na wo time ka stress. na wo shorsharaba

Tum bhool jaate ho ye sab baatein

 

Chalo aaj aane waale kal ko dekhte hai

Par pehle zara ye kaala chashma uttar lo

Warna tum phir yahi kahoge

Yaar aage bahut andhera hai

Tum nahi dekh paaoge roshni ki wo kiran

Jo door jhilmila rahi hai aur keh rahi hai ki waqt guzar hee jayega

Raasta mushkil zaroor hai. lekin raasta he hai, kahin toh pahuchayega

Toh bas ummeed ka daaman na chodo aur dheere hee sahi par chaltey reho

Kal bas yahi yaad rahega ki kissne kitna saath nibhaya aur kis tarah nibhaya

Tum bas yaad rakhna ye hee baatein.


I am taking my blog to the next level with Blogchatter’s My Friend Alexa Campaign.

2 comments: